Friday, November 03, 2006

//Dil Se Desi// A truth stroy of modern age Please read it

Hi dear fried I am sending my truth story for you .... I dont know it is right or wrong but I know if I am right than ur love with me
 
                                                         EHSAAS
Part-1

Ye kahani jo ek haqiqat hai …ek Aadhunik(modern) jamane ki aisi kahani jis par koi Yaqin nahin karna chahega…lekin mujhe pura Yaqin hai ,,, jo bhi is kahani ko is ke aakhri shabd tak parhega uski antaraatma tak ye awaj jarur pahuchegi ..ho sakta hai wah awaj aaj kal ke kuch noujawano ke liye ek sabak ho , kuch ke liye ek majak ho aur kuch ke liye ek shard ehsas ho……..Jo bhi is kahani ko parhna suru karega main usse ek sawal puchna chahunga…kya aapko hawaon se muhbbat hai…? Yaqinan Aapka jwab hann ho ga aap kahegen ki jo mujhe jindagi deti hai..mujhe usse muhbbatkyon nahin hogi?…aur ye bilkul sach bhi hai…hamne hawaon ko nahin dekha …bas use ham mahsus karte hain…lekin hame phir bhi usse muhbbat hai..kyon ki wah mujhe jindagi deti hai…. Lekin uus ehsas ka kya kahoge jiska koi chehra maine
nahin dekha (lekin wah hawa nahin hai ) … jise sirf maine mahus kiya hai aur karta rahta hun…wah ehsas jo mere nas nass main sama gaee .mere khun ke ek ek katre main uski khusbu mahsus karta rahta hun…wah ehsas jiske ke liye maine kitni hi raaton ko qurban kar diya…jis ke liye meri aankhen hamesa nam rahti hai … jis ki ek ek yaad mujhe dard deti hai…ek aisa ehsas jiske liye main aaj bhi tarapta hun…..meri zindagi ki har saanse jis ehsas ko chumna chahti hai….wah ehsas jise main apne dil se kabhi nahin nikal paaya …bahut kosis ki maine lekin sab bekar……maine upar waale se ro ro kar duwa ki ke is ehsas ko mere dil se nikal de…lekin us khuda ne bhi meri duwa qabul na ki …shayad is ki wajah ye bhi hogi..ki mujhe us hasti se beintahan muhabbat hai …itni muhabbat ki uske saamne mujh jaise ek bande ka khuda se koi bhi lagau bouna sabit hoga…sayad isliye usne bhi mera saath nhin diya….tarapta raha main hamesa ke liye….mujhe hanse hue jamana ho chukka hai bas honton par ek phiki se muskurahat aa jati hai kabhi-kabhi ….wah bhi jab main khud par hansta hun..apni bebasi par hansta hun….apne un aankhon par hansta hun jo aaj bhi uske ek jhalak ko tarasti hai….wah aankhen jo is ehsas ko ek chehre main dekhna chahti hai….wah aankhen jo shayad pyasi hi is duniya se fanaa ho jayegi….. wah aankhen jisne apne itne aansun bahaye…ki ab wah sukh chuki hai…wah bechari bahut rona chahti hai lekin ro nahin paati….lekin ek kasak hai uske dil men ki kaas.. kass ke main use dekh sakun kasss …wah lamha jise main qaid kar sakun…..lekin wah lamha kabhi nahin aayega kabhi nahin……ye aankhen tarasti rahegin …ye dil tarapta rahega … .ye pal pal ki ghutan hamesa mere dil ko jalati rahegi….rag rag main us ka ehasas dourta rahega…jab tak …jab tak….mujhe mout na nasib ho jaayeee …..aaaahhh kitna dard ho ta hai …..bahut jyada bahut hi jyada dard…..jisne mere andar ke insane ko khatm kar diya…aur ek khokhle insan ko is duniya ke saamne la kar khara kar diya….jo jindon ke basti main murdon ki tarah khara hai …..main puchta hun ki ek anjan hasti kya ek insan ke ragon men …uske sanson men..us ke dharkano me …us ki har ek shai main jo uski zindagi se juri huee hai ..ko hata kar sirf apna wajud chhor sakti hai??….aaakhir ye jhuth hai to kyon? …. Kyon maine us hasti ko apne sarre wajud main pewast kar liya?…kyon use apne dharkano me jagah di?…kyon use apne saanson par raaj karne diya?…kyon wah mere rag rag main sama chuki hai? Kyonnnnnnnnnnn ?????akhir kyonnnnnnnn…? ???? .pagal ho jata hun kabhi-kabhi ye sab soch kar….ek anjan hasti ne jise maine aaj tak dekha nahin usne mujhe kya se kya bana diya…….. aaj main bahut ghutan mahsus kar raha hun bahut hi jyada ….pata nahin mere andar ka insan mujhse kah raha hai ki ek kalam utha aur apne ehsas ko kagjon par utar de mere andar ka insan mujhse kah raha hai …ki main apne is ehsas ko shabdon ke shakl main kore kagjon par sajaun use is kore kaagjon ki dulhan banaun ….shayad ..shayad is se mujhe sukun mile …shyad yeh sukun mujhe is ghutan bhari ehsah se mujhe aajad kar
sake… .shayad main apni muskurahaton ko pa sakun …shayad ek maa apne bete ko pa le ..shayad ek bahan apne bhaee ko hansta dekh sake ….Shayad ek dost mujhe phir se apne gale se laga le …shayad yeh duniya jo mujhse se ruth chuki hai ..phir se mujhe apne aaagos me le le …..shayad..Shayad .. Shayad is liye main apne ehsas ko shabdon ke shakl dene par majbur hun …….
 
I will send next page please wait if u did like it plz reply
 
                                            tufailaalamaa@yahoo.com
                                                      91-9910-985521


Low, Low, Low Rates! Check out Yahoo! Messenger's cheap PC-to-Phone call rates. __._,_.___

***NEW: DESI TALK!! The Shout box in the group home page***
Comments, suggestions or just plain chatting... you can do it right here!
Homepage: http://groups.yahoo.com/group/dilsedesigroup

***DIL SE DESI GROUP***
You can join the group by clicking the below link or by copying and pasting it in the browser bar and then pressing 'Enter'.

http://groups.yahoo.com/group/dilsedesigroup/join

OWNER/MODERATOR : rajeshkainth003@gmail.com; {Rajesh Kainth}     
MODERATOR       : a.amitkumar13@gmail.com; {Amit Kumar}           
MODERATOR       : manisha.hatkar@gmail.com; {Manisha Hatkar}     
MODERATOR       : preeti.hande@gmail.com; {Preeti Hande}           
MODERATOR       : immortally69@yahoo.com {Rahul Joshi}           
MODERATOR       : kaustubh.basu@gmail.com {Kaustubhshobhan Basu}
MODERATOR      : planetofprince@yahoo.com (Prem)
MODERATOR       : abhijeet-bhurke@bridgestone.co.in (Abhijeet)

To modify your list subscription, please send a blank email to:           

SUBSCRIBE            :  dilsedesigroup-subscribe@yahoogroups.com      
UNSUBSCRIBE            :  dilsedesigroup-unsubscribe@yahoogroups.com      
INDIVIDUAL MAILS      :  dilsedesigroup-normal@yahoogroups.com           
DAILY DIGEST            :  dilsedesigroup-digest@yahoogroups.com           
VACATION HOLD            :  dilsedesigroup-nomail@yahoogroups.com     
FOR POSTING MESSAGES  :  dilsedesigroup@yahoogroups.com





SPONSORED LINKS
Desi arnaz Lucy desi

Your email settings: Individual Email|Traditional
Change settings via the Web (Yahoo! ID required)
Change settings via email: Switch delivery to Daily Digest | Switch to Fully Featured
Visit Your Group | Yahoo! Groups Terms of Use | Unsubscribe

__,_._,___