Main nahi khud ke liye,hoon main zamane ke liye,
Khud ko zakhm de dekar auron ko hassane ke liye.
Hamne kya kya na kiya tere chale jaane ke baad,
Tujhe hi yaad kiya tujh ko bhulaane ke liye.
Yeh khiza,yeh andhere,yeh veerana sa safar,
Hum to nikle thay kahin aur hi jaane ke liye.
Aaina dekh ke hairaan sa ho jaata hoon,
Khud ko hi bhool gaya aap ko paane ke liye.
Yoon rakeebon se has has ke kyon milte ho sanam,
Teri berukhi hi bahut thi dil ko jalaane ke liye.
Yeh jo chalakta hai aankhon se isse paani na kaho,
Yeh to moti hain mere pyaar ko sajaane ke liye