Do Kadam To Sab Chal Lete Hain, Par,
Zindagi Bhar Ka Saath Koi Nahi Nibhata
Agar Ro kar Bhulaai Jaati Yaadein,
To Hanskar Koi Gan Naa Chupata.
Jaane Kya Soch kar Lehrein Sahil Se Takraa kar Laut Jaati Hain,
Samajh Mein Nahi Aata Wo Kinaare Se bewafaai Karti Hain,
Yaa Laut kar Milne Ka Waada Nibhaati Hain.
Aansuoon Ke Chalne Ki Aawaaz Nahi Hoti,
Dil Ke Tootne Ki Aahat Nahi Hoti,
Agar Hota Khuda Ko Har Dard Ka Ehsaas,
To Usey Dard Dene Ki Aadat Nahi Hoti.
Aasmaan Ko Neend Aaye To Sulaayein Kahan,
Dharti Ko Maut Aaye To Dafnaayein Kahan,
Saagar Mein Lehar Aaye To Chupaaein Kahan,
Hume Aap ki Yaad Aaye To Jaayein Kahan.
Aisa rumaal hi kahan,
Jo mere aansuoon ko ponch sake,
Tumhara aisa yeh dil kahan jo,
Mere haal ko samajh sake.
Kitna Pyaar Karte hain tumse,
Kaash Tumko bhi yeh ehsaas ho Jaye
Magar Aisa na Ho Ke,
Woh hosh mein tab Aaaye,
Jab Hum gehri neend mein so Jaayein.
Hichikiyon se ek bat ka ehsaas hota hai,
Ki shayad koi humein bhi yaad kartaa hai,
Beshak milne naa aaye par,
Char lamhein hum par barbad to karta hai